DeepVisor

DeepVisor is a Blog that offers up-to-date reviews of different goods and products – from household appliances and electronics to home improvement tools and all sorts of items for children. What makes us different from many other peers is that we readily answer all questions and respond to our customers’ offers almost in an instant.

LightBlog
Responsive Ads Here

Sunday, November 12, 2017

Hike Rewards ki is scheme se rahiyega thoda bachke nahi to badme pakka afsos karenge

Namaskar dosto swagat hai apka mere blog DeepVisor me, Is post me bahot hi aham baat batana chahunga, aur ye post padhne ke baad aap log mujhe jarur thank you kahenge, to chaliye aage badhte hai.
Hike ne hal hi me ek scheme banaya hai, Hike Rewards me aap invite karke Rs. 10,000 tak kama sakte hai, lekin han me is post me ye nahi bata raha ki kaise aap paise kama sakte hai, but uske piche ka jo important factor hai wo batana chahunga,

Hike ne isse pehle bhi ese bakwas schemes laye hai, aur is scheme me bhi esa hi dikh raha hai, to baat ye hai ki jo log hike use kar rahe hai unko notification aata hai Kuch iss tarah se, Earn up to Rs. 10,000 with hike rewards, aur paise ki lalach kisko nahi hoti batao?
Isi lalach me log kya karte hai ki uspe dekhne jarur jayenge, aur uspe click karne ki galti kar bethte hai, par usse hota ye hai ki aapke phone me jitne bhi contact numbers hai unko ek message chala jata hai INVITE ka, ha to aap soch rahe honge isme buri baat kya hai, to buri baat ye hai ki hike aapse bina puche hi sabhi ko massage kar deta hai, aapko clear nahi batata ke ispe click karke aapke contacts ko massage chala jata hai,
To samajh lijiye kai sare ese log bhi hai jiske najane kitne contacts ho aur wo bji ese ho jisko wo massage nahi karna chahta to unko bhi ye massage chala jata hai, aur rewards to milne se raha lekin aap ko kuchh hi der baad pata chalega ki sab apko calls karne lagenge aur yahi sabse galat baat hai hike ki, me ye nahi keh raha ki hike bura app hai yan use nahi karna chahiye, par har baar esa karna problem la sakta hai kuchh logo ke liye.
Hike apne naye users ko badhane ke chakkar me kafi sare purane users ko bhi kho deta hai,
To main baat yahi hai ki aap agar hike use karte hai aur ye rewards ka notification dekh rahe hai to iska upyog na hi kare, aur agar massages jane se apko koi dhikkat nahi hai to fir koi baat hi nahi hai, aur aap ye article padh rahe jab aap inse gujar chuke hai to is post ko zarur share kare ta ki aap ki tarah aapke family friends ko na gujarna pade.